Wednesday, August 19, 2009

SHAYARI

Har Khushi Ghum Ka Elaan Hai

Har Khushi Ghum Ka Elaan Hai

Har Mulakat Judai Ka Aalam Hai

Na Rakhna Kisi Se Ummeed

Har Ummeed Dil Tutne Ka Farman Hai.

Dilon Ki Daastan Use Kahan Kubool Thi

Dilon Ki Daastan Use Kahan Kubool Thi

Meri Wafaein Us Ke Liye Fizool Thi

Koi Ass Nahi Lekin Itna Bata Do Maine Chaha Thi

Use Kya Ye Meri Bhool Thi?

Ae Dost Teri Yaad Bahaut Aati Hai

Ae Dost Teri Yaad Bahaut Aati Hai

Tanhai Mein Mujhe Bahaut Sataati Hai.

Kis Se Kahoon Apne Dil Ki Baat Main

Ye Hawa Bhi Kab Tak Saath Nibhati Hai.

Ye Baarish Ki Boondein,Ye Matti Ki Khushbu

Mujhe Tanha Dekh Kar Mera Mazaak Uraati Hein.

Mujhe Tum Se Hai Mohabbat Itni

Tanhai Mein Tumhari Awaaz Aati Hai.

Deta Hai Sadaa Koi Mujhe Door Se

Lagta Hai Mujhe Meri Dost Bulati Hai.

Dost Dost Nahi Khuda Hota Hai

Dost Dost Nahi Khuda Hota Hai

Mahsoos Tab Hota Hai Jab Wo Juda Hota Hai

Bin Dost Ke Jeena Ek Saza Hai

Aur Tum Jesa Dost Ho To

Jeene Ka Alag Hi Maza Hota Hai

Dosti Hai Naam Sukh-Dukh Nibhane Ka

Dosti Hai Naam Sukh-Dukh Nibhane Ka

Dosti Raaz Sada Muskurane Ka

Yeh Koi Pal Bhar Ki Pehchaan Nahi

Yeh Saath Hai Umar Bhar Nibhane Ka

No comments:

Post a Comment

HI GUYS PLEASE TELL ME ABOUT MY BLOGS.....