Tuesday, September 8, 2009

SHAYARIs

Soch ko badlo sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo najare badal jayenge.
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishao ko badlo KINARE badal jayenge.

........................................

Ye chamakte sitare kis kaam ke
Ye haseen nazare kis kaam ke
Jise tufan se takrana acha lage
Uske liye kinare kis kaam ke

........................................

Hasne ke bad kyun rulati hai ye duniya?
Jane ke bad kyun bulati hai ye duniya?

Zindgi mein kya kasar baki thi,
jo marne ke baad jalati hai ye duniya.

........................................

Aaj fir se aakhein nam kyon hai ,
Jise paya hi nahi use khone ka gam kyun hai ,

Tumse milkar bichde to ehsas hua,
ki Zindagi itni bedam kyun
hai..

........................................

No comments:

Post a Comment

HI GUYS PLEASE TELL ME ABOUT MY BLOGS.....